Ab mai har baat pe muskurata huu.n..

Apni maayusio.n ka karz yuu.n chukata huu.n
Ab mai har baat pe muskurata huu.n..

Tamannao.n ne bahkaayaa bahut tha
khilaune de ke tanha dil ko mai bahlata huu.n
Apni maayusio.n ka............

Hua kare mere dushman ye zamaane wale
Vo mere dost the is baat se ghabrata huu.n
Apni maayusio.n ka............

Meri si shakl liye firta hai kaatil mera
Mai yahan uske gunaho ki saza pata huu.n
Apni maayusio.n ka............

Udaan - by Amitabh Bhattacharya

Chhoti-chhoti chhitrayi yaadein

Bichhi hui hain lamhon ki lawn par

Nange pair unpar chalte-chalte

Itni door chale aaye

Ki ab bhool gaye hain ki

Joote kahan utaare the.......

Aedi komal thi, jab aaye the.

Thodi si naazuk hai abhi bhi.

Aur nazuk hi rahegi

In khatti-meethi yaadon ki shararat

Jab tak inhe gudgudati rahe.

Sach, bhool gaye hain

Ki joote kahan utaare the.

Par lagta hai,

Ab unki zaroorat nahin.
Hatheli Saamne rakhna, ek behad hi najuk Nazm thi...abhi us Nazm ka ek aur rukh pesh kar raha hun. Ummed karta hun pasand aayegi:

Hatheli Saamne rakhna
Duvaon ki vaja rakhna
Koi mannat adhuri ho
Samajh lena ki vo tha mai

Kabhi beja akela sa
Nigahon se dhakela sa
koi aansu gire lab par
Samajh lena ke vo tha mai

Koi bejaan sa manzar
koi budha akela sa
Andheron se kare baaten
samajh lena ki vo tha mai

Kabhi haalaat se lad kar
kabhi jajbaat se badh kar
tum khud ko bhul jao to
Samajh lena ki vo tha mai

Koi anchaha sa chehra
mile har roj khabbon me
ke fir dil doob jaye to
samajh lena ki vo tha mai

Kabhi haalat hon aise
Tum mujhko bhulna chaho
Kahin taara koi tute
Samajh lena ki vo tha mai...