Hatheli Saamne rakhna, ek behad hi najuk Nazm thi...abhi us Nazm ka ek aur rukh pesh kar raha hun. Ummed karta hun pasand aayegi:

Hatheli Saamne rakhna
Duvaon ki vaja rakhna
Koi mannat adhuri ho
Samajh lena ki vo tha mai

Kabhi beja akela sa
Nigahon se dhakela sa
koi aansu gire lab par
Samajh lena ke vo tha mai

Koi bejaan sa manzar
koi budha akela sa
Andheron se kare baaten
samajh lena ki vo tha mai

Kabhi haalaat se lad kar
kabhi jajbaat se badh kar
tum khud ko bhul jao to
Samajh lena ki vo tha mai

Koi anchaha sa chehra
mile har roj khabbon me
ke fir dil doob jaye to
samajh lena ki vo tha mai

Kabhi haalat hon aise
Tum mujhko bhulna chaho
Kahin taara koi tute
Samajh lena ki vo tha mai...